Vinay's Home on the Web

Hindi/Urdu Poetry Page

  • The Choicest Collection of Poetry ... ranging from Ghalib to Gulzar
  • Give the poet in you an outlet. Publish your work here
  • Some of my favourite Hindi/Urdu Poetry-related sites
  • Andaze-bayaan aur..
    Main Bhi Kavi
    Poetic Links

    Andaze-bayaan aur..

    Ummed-e-marg kab tak, zindagi ka dard-e-sar kab tak
    ye mana sabra karte haiN mohabbat meiN magar kab tak
    Firaq

    Shab-e-firaq uThe dil meiN aur bhi kuchh dard
    KahooN maiN kaise teri yaad raat bhar aayee
    Firaq

    Yun hi sa tha koi jisne mujhe miTa Daala
    na koi noor ka putla na koi zohra-zabiN
    Firaq

    Maikhaane ko ham chhoD. ke kaabe se gujarte
    wo raah magar kahte haiN sunsaan bahut hai
    Waamiq Jaunpuri

    Mehboob wo ki sar se qadam tak kHuloos ho
    aashiq wahi ki husn se kuchh badgumaaN bhi ho
    Firaq

    Go ham se mile tum na to kuchh ham na mar gaye
    Kahne ko baat rah gayee aur din guzar gaye
    Qaaem

    Takiye pe tere sar ka woh tippa hai paD.aa hai
    Chaadar meiN tere jism kee woh saundhi si khushboo
    HaathoN meiN mahaktaa hai tere chehare ka ehsaas
    Maathe pe tere hoThoN kee mohar lagee hai

    Tu itni kareeb hai ki tujhe dekhooN to kaise
    thoD.i si alag ho to tere chehare ko dekhooN
    Gulzar (from Pukhraaj)

    NahiN milte na miliye khair koi mar na jaayega
    Khuda ka shukra hai pahle mohabbat aapne kam ki
    Aga Shaayar

    Jaane de ae tasavvwur-e-janaN na kar talaash
    Aisa na ho ki wo kahiN dushman ke ghar mile
    Qurban Ali Saalik

    Hosh aaye bhi to kyooN kar tere deewaane ko
    Ek jaata hai to do aate haiN samjhaane ko
    Hushiyaar Merruti

    Meri kismat meiN gham gar itna tha
    Dil bhee ya rab kai diye hote
    Ghalib

    Baat karni tak tumheN aati na thee
    Ye hamaare saamne ki baat hai
    Daag

    Mujh ko aashiq kahke uske roo-ba-roo mat kijiyo
    DostaaN gar dost ho to ye kabhoo mat kijiyo
    Meer Hasan

    BarsoN se tere naam pe khaata raha fareb
    Mere khuda kahaN hai tu apna pata to de
    Saeed Raahi

    Hum bhi kuchh khush nahiN wafaa karke
    Tumne achha kiya nibah na ki
    Momin

    Lijiye bula liya aapko khayal meiN
    Ab to dekhiye hameN koi dekhta nahiN

    TaaroN ka go shumaar meiN aana muhaal hai
    Lekin kisi ko neeNd na aaye to kya kare
    Afsar Meeruthi

    Band SheeshoN ke pare dekh, dareechoN ke udhar
    Sabz peDoN pe, ghani shaakhoN pe, phooloN pe wahaaN
    Kaise chupchaap barasta hai musalsal paani
    Kitni aawaazeN haiN, ye log haiN, baateN haiN magar
    Zehan ke peechhe kisi aur hi satah pe kahiN
    Jaise chupchaap barasta hai tasavvur tera
    Gulzar (from Pukhraaj)

    Ye bhi sach hai ki mohabbat meiN nahiN maiN majboor
    ye bhi sach hai ki tera husn kuchh aisa bhi nahiN
    Firaq

    Ye maana zindagi hai chaar din ki
    bahut hote haiN yaaroN chaar din bhi
    Firaq

    Yaad aaye haiN uff gunaah kyaa-kyaa
    Haath uThaye haiN jab dua ke liye
    Zaqi Kakoravi

    teri zulfoN ko kya suljhaauN ai dost
    meri raahoN meiN pecho-kHam bahut haiN
    Maikash

    Muddai mujhko khaD.e saaf bura kahte haiN
    chupke tum sunte ho baiThe ise kya kahte haiN
    Meer

    Kaafi dinoN jiyaa hooN kisi dost ke bagair
    Ab tum bhi saath chhoD.ne ko kah rahe ho, khair
    Firaq

    Wo khaD.e kahte haiN meri laash par
    hum to sunte the ki neeNd aati nahiN
    Taasshuq Lucknawi

    Kya dekhta hai haath mera chhoD. de tabeeb
    YaaN jaan hee badan meiN nahiN nabz kya chale
    Zauq

    Ae dost aa bhi jaa ke maiN tasdik kar sakooN
    sab kah rahe haiN aaj fazaa khushgawaar hai
    Khumaar

    Hai kuchh aisi hi baat jo chup hooN
    Warna kya baat kar nahiN aati
    Ghalib

    Yak-ba-yak le uThaa hamaara naam
    Jee meiN kyaa uske aa gayaa hoga
    Meer Dard

    Mom se rishte haiN garmi se pighal jaayeNge
    Dhoop ke shahar maiN yaaroN yuN tamaasha na karo

    BaDe ajeeb haiN ye dard-e-gham ke rishte bhi
    Ki jisko dekhiye apna dikhai deta hai
    Khursheed Ahmad Jaami

    HameN bhi aa paDaa hai dostoN se kaam kuchh yaani
    Hamaare dostoN ke bewafa hone ka waqt aaya
    Harichand Akhtar

    Tum ne aakar mizaaaj poochh liya
    Ab tabeeyat kahaN sambhalti hai
    Jalil Manikpuri

    PalkeN bhi chamak uthti haiN sote maiN hamaari
    AankhoN ko abhi khwaab chhupane nahiN aate
    ?

    Kisi ko de ke dil koi nawaa sanje fugaaN* kyooN ho
    Na ho jab dil hi seene meiN to phir muNh meiN zubaaN kyooN ho
    Ghalib

    *Nawaa sanje fugaaN : aartnaad(rona-peetna) karne waala.

    MaiN aap apni talaash meiN hooN
    Mera koi rahnuma nahiN hai
    Woh kya dikhayeNge raah mujhko
    Jinhe khud apna pataa nahiN hai
    Ye inke mandir, ye inki masjid
    Ye zarparastoN ki sajdaagaheN
    Agar ye inke khuda ka ghar hai
    To inmeiN mera khuda nahiN hai
    Raj Allahabadi

    Return to Top


    Catch the Finest of Hindi/Urdu Poetry !
    Enter your e-mail address (eg: vinayjain@yahoo.com) below to receive e-mail when this site is updated
    .



    Poetic Links


    Sign My Guestbook
    Guestbook by GuestWorld
    View My Guestbook

    Home

    Freebies Search the Net Links Galore
    Music
    Graffiti
    My City

    Page last modified on 25th May 1998
    Developed and maintained by Vinay P Jain
    URL of this page : https://members.tripod.com/~vinayj/poetry.htm