Main bhi Kavi

This section houses original and unpublished works of readers. The language of the verse should be Hindi or Urdu. Send your contribution to me with MBK written in the subject line of your email.
Comments are always welcome.

New
~~~
Sher

maanaa ki tum ho hoor aasmaaN kee, aur yeh naacheez zameeN par
lekin jaan-e-man, milte haiN zameeN aasmaaN bhee, kaheeN na kaheeN par

Ghazal

sabr hamaaraa, dekh lo, nateejaa apnaa paa gayaa
raftaa raftaa, tum ko bhee, to pyaar karnaa aa gayaa

sitaaroN kaa, tere taab se, TooT chukaa thaa naaz
jalvaa-numayee se teree, ab chaand bhee sharmaa gayaa

be-vaqt shuroo ho gayee, parindoN kee chahkaar
jahaan, aamad pe teree, sahar kaa dhokaa khaa gayaa

tere aane kee KHabr thee, kyooN hue sab gurezaaN
kahaaN gayaa yeh gulshan, voh kidhar ko sahraa gayaa

mar to jaataa maiN tere intezaar meN magar
azm meraa dekh kar jamdoot bhee ghabraa gayaa

is sansaar kee maayaa meN, kuchh yooN huaa mahav
tere KHumaar meN maiN, nijaat bhee THukraa gayaa

~~~

azm = determination / jamdoot = Angel of Death / nijaat = mokshaa

Tejjit S. Kalsi
kalsi@post4.tele.dk

Shaam bas gum hone ko hai
Raat ki syaah baahoN meiN
kabhi rahi hogi ye uski mazboori
ab to mazaa aane lagaa hai use
roz raat ke saath guttham guttha ho jaati hai
aur phir phisalne lagti hai uske haathoN se yuN
jaise muTThi se ret..
apne kuchh rang raat ki hatheli meiN chhoD.ti hui.

jaate-jaate apna khumaar udhaar de jaati hai raat ko
shaayad yuN ke wo saheh ke rakh sake use
aur lauta de din ko, jaate hue
par raat dagaabaaz Thahri
khumaari ka ek tukD.a bhi nahiN deti subah ko
aur bechaari shaam... khaali haath pahuNchti hai
din ke dhakke khaate hue.

Par baD.I khushmizaz hai shaam
aur kyooN na ho..
kitne to gham sameTne paDte haiN use
kitne tanha diloN ko apne rang baaNTne hote haiN
phir khumaar bhi to paida karna hai use in rangoN se
varna..raat ke haath meiN kya deke phislegi wo
aur apne gum hone ka dard kismeN duboyegi

Vinay

Chaahat hai dil meiN puraani si
Dikhta hai raahoN meiN chehra naya
kahaaN se laayeN woh deewaana dil
jo ek deewaana chura le gaya

Woh mohobbat ki baateN, woh ulfat ke fasaane
lagte haiN ab yeh puraane se
Har shab kisi ki yaadoN ko
phir se dohraana hai naya

Yeh os ki boondeN, woh chaaNd ka chehra
Baarish bhi wohi hai puraani si
thak kar gam-e-dil kahega ek din
dikha hai aaftaab meiN taara ek naya

Sonal
(Sonalsehgal@yahoo.com)

Back to Main


Page last modified on 12th May 1998.
Developed and maintained by Vinay P Jain