Ummed-e-marg
kab tak, zindagi ka dard-e-sar kab tak
ye mana sabra karte haiN mohabbat meiN magar kab tak
Firaq
Shab-e-firaq uThe dil meiN aur
bhi kuchh dard
KahooN maiN kaise teri yaad raat bhar aayee
Firaq
Yun hi sa tha koi jisne mujhe
miTa Daala
na koi noor ka putla na koi zohra-zabiN
Firaq
Maikhaane ko ham chhoD. ke kaabe
se gujarte
wo raah magar kahte haiN sunsaan bahut hai
Waamiq Jaunpuri
Mehboob wo ki sar se qadam tak
kHuloos ho
aashiq wahi ki husn se kuchh badgumaaN bhi ho
Firaq
Go ham se mile tum na to kuchh
ham na mar gaye
Kahne ko baat rah gayee aur din guzar gaye
Qaaem
Takiye pe tere sar ka woh tippa
hai paD.aa hai
Chaadar meiN tere jism kee woh saundhi si khushboo
HaathoN meiN mahaktaa hai tere chehare ka ehsaas
Maathe pe tere hoThoN kee mohar lagee hai
Tu itni kareeb hai ki tujhe dekhooN
to kaise
thoD.i si alag ho to tere chehare ko dekhooN
Gulzar (from Pukhraaj)
NahiN milte na miliye khair
koi mar na jaayega
Khuda ka shukra hai pahle mohabbat aapne kam ki
Aga Shaayar
Jaane de ae tasavvwur-e-janaN
na kar talaash
Aisa na ho ki wo kahiN dushman ke ghar mile
Qurban Ali Saalik
Hosh aaye bhi to kyooN kar tere
deewaane ko
Ek jaata hai to do aate haiN samjhaane ko
Hushiyaar Merruti
Meri kismat meiN gham gar itna
tha
Dil bhee ya rab kai diye hote
Ghalib
Baat karni tak tumheN aati na
thee
Ye hamaare saamne ki baat hai
Daag
Mujh ko aashiq kahke uske roo-ba-roo
mat kijiyo
DostaaN gar dost ho to ye kabhoo mat kijiyo
Meer Hasan
BarsoN se tere naam pe khaata
raha fareb
Mere khuda kahaN hai tu apna pata to de
Saeed Raahi
Hum bhi kuchh khush nahiN wafaa
karke
Tumne achha kiya nibah na ki
Momin
Lijiye bula liya aapko khayal
meiN
Ab to dekhiye hameN koi dekhta nahiN
TaaroN ka go shumaar meiN aana
muhaal hai
Lekin kisi ko neeNd na aaye to kya kare
Afsar Meeruthi
Band SheeshoN ke pare dekh,
dareechoN ke udhar
Sabz peDoN pe, ghani shaakhoN pe, phooloN pe wahaaN
Kaise chupchaap barasta hai musalsal paani
Kitni aawaazeN haiN, ye log haiN, baateN haiN magar
Zehan ke peechhe kisi aur hi satah pe kahiN
Jaise chupchaap barasta hai tasavvur tera
Gulzar (from Pukhraaj)
|
Ye bhi sach hai
ki mohabbat meiN nahiN maiN majboor
ye bhi sach hai ki tera husn kuchh aisa bhi nahiN
Firaq
Ye maana zindagi hai chaar din
ki
bahut hote haiN yaaroN chaar din bhi
Firaq
Yaad aaye haiN uff gunaah kyaa-kyaa
Haath uThaye haiN jab dua ke liye
Zaqi Kakoravi
teri zulfoN ko kya suljhaauN
ai dost
meri raahoN meiN pecho-kHam bahut haiN
Maikash
Muddai mujhko khaD.e saaf bura
kahte haiN
chupke tum sunte ho baiThe ise kya kahte haiN
Meer
Kaafi dinoN jiyaa hooN kisi
dost ke bagair
Ab tum bhi saath chhoD.ne ko kah rahe ho, khair
Firaq
Wo khaD.e
kahte haiN meri laash par
hum to sunte the ki neeNd aati nahiN
Taasshuq Lucknawi
Kya dekhta hai haath mera chhoD.
de tabeeb
YaaN jaan hee badan meiN nahiN nabz kya chale
Zauq
Ae dost aa bhi jaa ke maiN tasdik
kar sakooN
sab kah rahe haiN aaj fazaa khushgawaar hai
Khumaar
Hai kuchh aisi hi baat jo chup
hooN
Warna kya baat kar nahiN aati
Ghalib
Yak-ba-yak le uThaa hamaara
naam
Jee meiN kyaa uske aa gayaa hoga
Meer Dard
Mom se rishte haiN garmi se
pighal jaayeNge
Dhoop ke shahar maiN yaaroN yuN tamaasha na karo
BaDe ajeeb haiN ye dard-e-gham
ke rishte bhi
Ki jisko dekhiye apna dikhai deta hai
Khursheed Ahmad Jaami
HameN bhi aa paDaa hai dostoN
se kaam kuchh yaani
Hamaare dostoN ke bewafa hone ka waqt aaya
Harichand Akhtar
Tum ne aakar mizaaaj poochh
liya
Ab tabeeyat kahaN sambhalti hai
Jalil Manikpuri
PalkeN bhi chamak uthti haiN
sote maiN hamaari
AankhoN ko abhi khwaab chhupane nahiN aate
?
Kisi ko de ke dil koi nawaa
sanje fugaaN* kyooN ho
Na ho jab dil hi seene meiN to phir muNh meiN zubaaN kyooN ho
Ghalib
*Nawaa
sanje fugaaN : aartnaad(rona-peetna) karne waala.
MaiN aap apni talaash meiN hooN
Mera koi rahnuma nahiN hai
Woh kya dikhayeNge raah mujhko
Jinhe khud apna pataa nahiN hai
Ye inke mandir, ye inki masjid
Ye zarparastoN ki sajdaagaheN
Agar ye inke khuda ka ghar hai
To inmeiN mera khuda nahiN hai
Raj Allahabadi
|